Wahan Insaan Bikte Hain
Mohabbat Dekhi Main Ne Zamane Bhar K Logon Ki GHALiB
Jahan Kuch “Daam” Zyada Ho Wahan insan Biktey Hain…!!
Category: Urdu Poetry SMS
Mujhsa koi jahan mein nadaan bhi na ho
Mujhsa koi jahan mein nadaan bhi na ho,
Kar ke jo ishq kehta hai nuqsaan bhi na ho.
Category: Broken Heart SMS , Urdu Poetry SMS
Tumahri Yaad Asaasa Hai Zindagii Ka Merii
Tumahri Yaad Asaasa Hai Zindagii Ka Merii___
Jo Bhul Jaau’n Tumahay To FaQeer Ho Jaau’n..
Category: Miss You SMS , Urdu Poetry SMS
Mujhe Lagta Hai Musalman Hai Ishq
Rishwat Bhi Nahi Leta Kambakht,
Mujhe Lagta Hai Musalman Hai Ishq..
Category: Urdu Poetry SMS
Be-Khayali Main Tujhe Jab Chhoo Lia Maine
Kaha Maine Ke Kab Yeh Zindagi Khushboo Lagi Tum ko ???
Woh Bola Be-Khayali Main Tujhe Jab Chhoo Lia Maine …!!
Category: Romantic SMS , Urdu Poetry SMS
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??
Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,
Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men,
Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men,
Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ??
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??
Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men,
Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ??
Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ??
Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urne Lagti Hain “Shamsheer” Titliyaan Mujh Mein.
Category: Urdu Poetry SMS
Magar Masoomiyat Choro
Barray Masoom Bantay Ho, Sitam Bhi Laakh Dhaatay Ho,
Sitam Choro Ya Na Choro, Magar Masoomiyat Choro..
Category: Urdu Poetry SMS
Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein
Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Baar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein
Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein
Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein
Category: Urdu Poetry SMS
Mein Ne Ye Kab Kahaa Tha Wafadaar Hee Raho ?
Mein Ne Ye Kab Kahaa Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat ?
Mein Ne Ye Kab Kahaa Tha Wafadaar Hee Raho ?
Category: Urdu Poetry SMS
Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai
Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…
Category: Urdu Poetry SMS
